Lyrics of song

Jannat Yeh Banaai Hai

kar lijiye chalakar meri jannat ke nazaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare
phoolon se liyaa rang, sitaaron se ujaalaa
har cheez ko ik noor ke dhaanche men hai dhaalaa

is khwaab ki basti ka, falak hai na zameen hai
is husn ki duniyaa ki har ik cheez haseen hai
roshan hai fizaa aur nahin chaand-sitaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare

gaati hai khushi naghme,to hansataa hai wahaan gham
kaliyon ki hansi dekh ke,roti nahin shabanam
fitarat ki zubaan par kahin masti ka fasaanaa
chheda hai khamoshi ne bhi purqas taraanaa
kuchh soye to kuchh jaage hue mast nazaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare

athakheliyaan karati hui chalati hain hawaaen
naghmon ki hai barasaat to zulfon ki ghataayen
rangin hui aur bhi jannat ki kahaani
wah dekhiye (2)
jhule pe ruhi ki jawaani
betaab kiye dete hain maasoom ishaare, maasoom ishaare
jannat yeh banaayi hai muhabbat ke sahaare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *