Lyrics of song

Jo Main Jaanti Un Ke Liye

Jo Main Jaanti Un Ke Liye -2
Mere Dil Mein Kitnaa Pyaar Hai
Itnaa Pyaar Main Karti Kyon
Ho, Itnaa Pyaar Main Karti Kyon, Jo Main Jaanti Un Ke Liye

Jo Main Soch Samajh Ke Chalti, Had Se Baat Guzarti Kyon -2
( Anjaane Nainon Se Ulajh Ke
Jeete Jee Main Marti Kyon ) -2
Jeete Jee Main Marti Kyon
Itnaa Pyaar Main Karti Kyon
Jo Main Jaanti Un Ke Liye
Mere Dil Mein Kitnaa Pyaar Hai
Itnaa Pyaar Main Karti Kyon
Ho, Itnaa Pyaar Main Karti Kyon, Jo Main Jaanti Un Ke Liye

Hardam Uljhi Lat Se Uljhoon -2
Kaajal Pheroon Akhiyan Mein -2
Vo Jo Na Aate To Main Itnaa, Banti Aur Sanvarti Kyon -2
Banti Aur Sanvarti Kyon
Itnaa Pyaar Main Karti Kyon
Jo Main Jaanti Un Ke Liye
Mere Dil Mein Kitnaa Pyaar Hai
Itnaa Pyaar Main Karti Kyon
Ho, Itnaa Pyaar Main Karti Kyon, Jo Main Jaanti Un Ke Liye

Haay Re Meethaa Dard Jigar Kaa, Haay Re Pahlaa Pahlaa Pyaar -2
Jo Main Jaanti Ye Sab Hogaa, Is Mushkil Mein Padti Kyon -2
Is Mushkil Mein Padti Kyon
Itnaa Pyaar Main Karti Kyon
Ho, Jo Main Jaanti Un Ke Liye
Mere Dil Mein Kitnaa Pyaar Hai
Itnaa Pyaar Main Karti Kyon
Ho, Itnaa Pyaar Main Karti Kyon, Jo Main Jaanti Un Ke Liye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *