Lyrics of song

Josh

laakh jamaana chaahe, hum nahi rukanewaalon mein
laakhon tufaan aaye, hum nahi thamanewaalon mein
laakh jamaana chaahe, hum nahi rukanewaalon mein
josh hain apane khoon mein, hum nahi jhukanewaalon mein
to chalo aayo saathiyon kar jaaye aisa kaam
hum rahein na rahein, rahein apana naam

hum dilwaale mil ke chale to ek naya zamana aaye
jiye is tarah ji bhar ke jindagi koi hasarat na reh jaaye
dil ke badale mein dil denewaala jo mil jaaye
to likhwaade us masti mein hum naam apana dilwaalon mein
to chalo aayo saathiyon kar jaaye aisa kaam
hum rahein na rahein, rahein apana naam
laakh jamaana chaahe, hum nahi rukanewaalon mein
josh hain apane khoon mein, hum nahi jhukanewaalon mein

????, jab tu maidaan mein aaye
teri mehnat, teri himmat, tujhamein wo josh jagaaye
jiske bal pe tu har ek maidaan mein jeet ke aaye
baaji khelein aise jamake, naya josh jage naujawaano mein
to chalo aayo saathiyon kar jaaye aisa kaam
hum rahein na rahein, rahein apana naam
laakh jamaana chaahe, hum nahi rukanewaalon mein
josh hain apane khoon mein, hum nahi jhukanewaalon mein
hum nahi jhukanewaalon mein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *