Lyrics of song

Kabhi Socha Na Tha Maine

–MALE–
Kabhi socha na tha maine mujhe ho jaayega pyaar – 2
Dil deewana deewane ka kya aitbaar
Kya aitbaar, kya aitbaar

–FEMALE–
Kabhi socha na tha maine mujhe ho jaayega pyaar – 2
Dil deewana deewane ka kya aitbaar
Kya aitbaar, kya aitbaar

–MALE–
Aaj mujhko laga baat kuch hai zuroor
Paas kitne ho tum jab hue mujhse door

–FEMALE–
Beqaraari hai kyoon, yeh khumaari hai kyoon
Kyoon pareshaan hai, kyoon yeh armaan hai

–MALE–
Tum kya gaye ho jaanam, sang le gaye bahaar – 2
Dil deewana deewane ka kya aitbaar
Kya aitbaar, kya aitbaar
Sach kahoon pyaar kya hai main nahin jaanta tha
Pyaar ki baatein sach hai, main nahin maanta tha

–FEMALE–
Kya mujhe ho raha hai, kya mera kho raha hai
Mujhko ehsaas hai, kya meri pyaas hai

–MALE–
Tu nahin paas mere, hai tera intezaar – 2
Dil deewana deewane ka kya aitbaar
Kya aitbaar, kya aitbaar

–FEMALE–
Kabhi socha na tha maine mujhe ho jaayega pyaar – 2
Dil deewana deewane ka kya aitbaar
Kya aitbaar, kya aitbaar

–MALE–
Kabhi socha na tha maine

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *