Lyrics of song

Kahin Na Kahin

Kahin Na Kahin Hai Woh Deewani
Mujhse Abhi Hai Anjaani
Kahin Na Kahin Hai Woh Deewani
Mujhse Abhi Hai Anjaani
Oh Aayegi Kabhi To Saamne Woh
Mera Khwaab Meri Zindagaani
Kahin Na Kahin Hai Woh Deewana
Mujhse Abhi Hai Anjaana
Oh Aayega Kabhi To Saamne Woh
Khwaabo Mein Hai Jiska Aana Jana
Kahin Na Kahin Hai Woh Deewana
Mujhse Abhi Hai Anjaana

Uske Labo Pe Bikhri Hai Laali
Khushboo Hai Uski Sandali
Mehki Bahaare Behke Nazare
Woh Muskurake Jab Chali
Haa Aankhon Mein Kaajal Zulfon Mein Badal
Sab Rang Us Mein Hai Chhupa
Kahin Na Kahin Hai Woh Deewana
Mujhse Abhi Hai Anjaana
Oh Aayega Kabhi To Saamne Woh
Khwaabo Mein Hai Jiska Aana Jana
Kahin Na Kahin Hai Woh Deewana
Mujhse Abhi Hai Anjaana

Kya Chaahti Hoon Kya Sochti Hoon
Usko Nahi Hain Kuch Khabar
Main Rok Loongi Raahon Mein Usko
Bach Ke Woh Jaayega Kidhar
Jaagi Na Sooyi Yaadon Mein Khoyi
Ye Kya Mujhe Ho Gaya
Kahin Na Kahin Hai Woh Deewani
Mujhse Abhi Hai Anjaani
Kahin Na Kahin Hai Woh Deewana
Mujhse Abhi Hai Anjaana
Oh Aayegi Kabhi To Saamne Woh
Mera Khwaab Meri Zindagaani

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *