Lyrics of song

Kaise Koi Jiye

kaise koi jiye  -2
zahar hai zindagi
utha toofaan wo
utha toofaan naach ke
sab bujh gaye diye
kaise koi jiye

baadal hain ya dhuaan
aag lagi kahaan
jalata na ho kaheen
mera hi aashiyaan
angaare the aansu nahi wo
dil ne jo piye

kaise koi jiye
zahar hai zindagi
utha toofaan wo
utha toofaan naach ke
sab bujh gaye diye
kaise koi jiye

taare na jaanen
oonchaai gagan ki
aankhen na samajhen
gaharaai man ki  -2
taare na jaanen
pyaase papeehe ne
aas thi baandhi
ud gaye baadal
a gai aandhi
gam ne jo chheda
dil ne hansi se
honth si liye

kaise koi jiye
zahar hai zindagi
utha toofaan wo
utha toofaan naach ke
sab bujh gaye diye
kaise koi jiye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *