Lyrics of song

Kaliyon jaisa rang

Kaliyon jaisa rang shagufta, phoolon jaisi kaaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta, phoolon jaisi kaaya hai
Neenden ud gayin sab logon ki, neenden ud gayin sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta

Uske chehre ki narmi se phool jawani maangen
Uski roshan aankhon se raatein bhi kahani maangen
Chalne ka andaaz hai vo maujein bhi rawani maangen
Sabki aankhon mein vo rangeen sapna bankar chhaya hai
Neenden ud gayin sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta

Logon ka to kaam hai yeh, sholon ko hawa detein hain
Chhoti chhoti baaton ka afsana bana detein hain
Woh jis raste se bhi guzre, usko sada detein hain
Woh ghar se kam hi nikle, yeh humne use samjhaya hai
Neenden ud gayin sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta

Mere haathon mein hai jaise uske haathon ki khushboo
Meri tanhai mein jaise uski baaton ki khushboo
Mere sheron mein hai jaise uski saanson ki khushboo
Uske liye hain ghazalen nazmen shair jisne banaya hai
Neenden ud gayin sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta, phoolon jaisi kaaya hai
Neenden ud gayin sab logon ki, neenden ud gayin sab logon ki
Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai
Kaliyon jaisa rang shagufta, kaliyon jaisa rang shagufta
Kaliyon jaisa rang shagufta

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *