Lyrics of song

Kangana (Male)

Bade Natkhat Hai More Kangana – (2)
Raat Mein Khanake Toh Sakhiya Samajhe – (2)
Aaye Piya More Angana
Bade Natkhat Hai More Kangana – (2)

Pal Pal Yaad Piya Ko Karana, Bhul Gayi Main Sajana Sawarana – (2)
Preet Ke Rang Mein Rang Gayi Jab Se
Preet Ke Rang Mein, Rang Mein, Rang Mein
Preet Ke Rang Mein Rang Gayi Jab Se, Bhaaye Mohe Koyi Rang Na
Bade Natkhat Hai More Kangana – (2)

Mohe Khabar Kya Iss Duniya Ki, Main Jogan Hoon Apane Piya Ki – (2)
Magan Rahun Main Prem Lagan Mein, Magan Rahun Main Aa Aa Aa….
Magan Rahun Main Prem Lagan Mein, Koyi Kare Mujhe Tang Na
Bade Natkhat Hai More Kangana – (2)
Raat Mein Khanake Toh Sakhiya Samajhe – (2)
Aaye Piya More Angana
Bade Natkhat Hai More Kangana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *