Lyrics of song

Kar De Zara Ishara

kar de zara ishaara
tere naam ka sahaara – 2

chhai hui siyaahi
bhataka huaa hai raahi
sar par khadi tabaahi – 2
teri raza se chamake,dooba huaa sitaara
tere naam ka sahaaraa

anjaam zindagi ka
dil ko dara raha hai
toofaan aa raha hai – 2
tu hi use bacha le, duniya ne jis ko maara
tere naam ka sahaara

kar de zara ishaara
tere naam ka sahaara

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *