Lyrics of song

Kashmakash

kashmakash hai talaash hai sadiyon purani yeh pyaas hai
chale us raste hum haste jab tak hai josh aur dum
chhal hai chal bola yeh man, doob jaane ka yeh jatan
jaana hai, paana hai, gehraiyon mein khone ki lagan

is parvaz mein hai kai raaz, rang, ras, reeti rivaj kuchh ujhle
kuchh dhundale kuchh simte kuchh bikhare se
chalne ko hai raah, hai chaah, yeh nadiyan, yeh dariyan
tez paani ka bahaav, moksh hai haath ke daav

kho gaya hai mera sapna
bharam toota mera
lut gaya jo thha apna
kadam behke zara

guru dakshina shant atma paisa diya mila parmatma                                                                           
shraddha saiyyam door hua bhram, lambe kash se bas nikla dum                                   
ab woh dhuan kahaan mit gaye sab nisha, kaisa yeh samaah                   
khali khali hai yeh jahaan

kho gaya hai mera sapna
bharam toota mera
lut gaya jo thha apna
kadam behke zara

dekho khatam hua yeh khel, pathhri par se uthri yeh rail
maro kaato aahein baaton ilzam do dharam ko
dharam tho hai sachchi neeyat, sachchi neeyat hai insaniyat
mutthhi mein hai apni kismat

kho gaya hai mera sapna
bharam toota mera
lut gaya jo thha apna
kadam behke zara

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *