Lyrics of song

Kaun Jiwan Mein Mere Samaaye Ja Raha Hai

kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai – 2
kaun man pe mere chhaaye ja raha hai
kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai

kaun barakha ki kaali-kaali raat mein – 2
ban ke saaya chal raha hai saath mein – 2
kaun dipak ban ke raah dikhala raha hai
kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai – 2

koyi saathi na tha koyi mit na tha – 2
mere suuni vina mein koyi git na tha – 2
kaun mithe suron se ye gaaye ja raha hai – 2
kaun man ko mere lubhaaye ja raha hai – 2

kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *