Lyrics of song

Khaamosh Sa Afsaana

Da da da da di da da, da da da da di da da – 4

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota – 2
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
La la la la, la la la la
Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega – 2
Dil bahekaata raha hai, dil bahekaata rahega
Dil ko tumne, oh, kuch samjhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana
Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai – 2
Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai
Tumne koi, oh, deep jalaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya – 2
Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya
Tumne saahil, oh, pehle bichhaaya hota
Khaamosh sa afsaana paani se likha hota
Na tumne kaha hota, na humne suna hota
Khaamosh sa afsaana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *