Lyrics of song
Khamosh Zindagi Ko Aawaz
khamosh zindagi ko aavaaz de rahe ho
toote hue haathon mein kyon saaz de rahe ho
khamosh zindagi ko …
benoor meri aankhen aur door ka safar hai
uthate hain paanv lekin ( gir jaane ka bhi dar hai ) -2
par kaat ke kisi ke paravaaz de rahe ho
khamosh zindagi ko …
aankhon se bahata dariya honthon pe aah lekar
saahil pe ham khade hain ( saahil ki chaah lekar ) -2
barbaad mohabbat ko nae andaaz de rahe ho
khamosh zindagi ko …