Lyrics of song

Kiska Kiska Gham Karegi

Ye sharab na aab ye mastoki majure ke najar
kya mubarak she thi jinase aam hokar reh gayi
Jabse kam jarfo ke palle pad gayi ye dilruba
kuchaau bazar mein badanam hokar reh gayi

jisko dekho maikade ki simt bhaga aaye hai
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab
peenewalo ko behakaate dekh ke sharamaye hai
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab – 2

kya salika tha kabhi jab jaam chalkaate the log – 2
ismein bhi ek shaan thi jab peeke leharate the log
ekka dukka chup chupakar is taraf aate the log
aab to iss washukh par har shaksha ki niyat kharab
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab – 2

waqt ke maare hue kuchh ishq ke maare hue
kuchh zamane se kuchh apane aapse haare hue
log to is mai ke aashiq jaankar saare hue
koi do kataron ka taalib koi maange behisaab
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab – 2
Jisko dekho maikade ki simt bhaaga aaye ahi
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab

jo asir-e-gham hua usko to aksar chahiye
jisko koi gham nahi usko bhi saagar chahiye
jisko ek qatra mila usko samadar chahiye
ek naazuk si pari zelegi kitano ke azaab
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab – 2

raah takta hoga koi dil ka nazarana liye
zulf mein masti liye hothon  paimaana liye
pyas aankhon mein diye aanchal mein maikhana liye
maikade ki raah chhodo ghar chalo aali janab
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab – 2
Jisko dekho maikade ki simt bhaaga aaye ahi
kiska kiska gham karegi duur bechari sharaab

peenewalo ko behakte dekh ke sharamaye hai
kiska kiska gham karegi duur bechari sharab – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *