Lyrics of song

Kuchh Tum Socho

Kuch tum socho kuch hum soche
Phir khushi ka mausam aaye
Hmm kuch tum socho kuch hum soche
Phir khushi ka mausam aaye
Tanha tanha kaun jiya hain
Rehke tanha dil ghabraye
Aa jao milke rishta yeh jode
Shart badalde rasmo ko tode
Isse pehle ke yeh duniya humein aazmaye
Hooo kuch tum socho kuch hum soche
Phir khushi ka mausam aaye
Aai hain khushiyon ka pegam leke baharein
Yeh pal hain apna is pal mein aao
Takdir apni saware
Aai hain khushiyon ka pegam leke baharein
Yeh pal hain apna is pal mein aao
Takdir apni saware
Khali khali is jeevan mein
Pyaar bharle hum tum dono
Deewane jo karte aksar
Wohi karle hum tum dono
In faaslo ko aao mita de
Ek dusre mein khud ko chupade
Isse pehle ke yeh duniya humein aazmaye
Hooo kuch tum socho kuch hum soche
Phir khushi ka mausam aaye

Duniya ki rasmo ko
Chahat mein shamil na karna
Manzil hum apni pake rahenge
Ha tum kisi se na darna
Duniya ki rasmo ko
Chahat mein shamil na karna
Manzil hum apni pake rahenge
Ha tum kisi se na darna
Pagal rasme pagal duniya
Aur thode hum tum pagal
Kismat mein ho na jaane kya
Sochte hain bas yeh har pal
Armaan hain jiska sapna wo bunle
Tum humko chun lo hum tumko chunle
Isse pehle ke yeh duniya humein azmaaye
Hooo kuch tum socho kuch hum soche
Phir khushi ka mausam aaye
Tanha tanha kaun jiya hain
Rehke tanha dil ghabraye
Aa jao milke rishta yeh jode
Shart badalde rasmo ko tode
Isse pehle ke yeh duniya humein aazmaye hmm

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *