Lyrics of song

Kya Kabar Kya Pata

(kya khabar kya pata
kya khushi hain, gham hai kya) – 2
le ke aansu jo hansi de
gham ke badle jo khushi de
raaj ye jaana usine
jindagi kya hain jindagi
kya khabar kya pata
kya khushi hain, gham hai kya

(apane dil ka dard ye
umarr bhar haskar piye
jina usaka jina hain
jo auron ki khaatir jiye) – 2
kaam le jindadili se
yoon hi khele jindagi se
raaj ye jaana usine
jindagi kya hain jindagi
kya khabar kya pata
kya khushi hain, gham hai kya
le ke aansu jo hansi de
gham ke badle jo khushi de
raaj ye jaana usine
jindagi kya hain jindagi
kya khabar kya pata
kya khushi hain, gham hai kya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *