Lyrics of song

Kya Karoon Ki Mujhe Na Kehna Nahi Aata

waise toh main sab samajhata hoon, kya galat hai kya sahi
bhola bhaala bhalehi lagata hoon, magar kisi se kam nahi
bas ek kamjori hai, samajho majboori hai
bin soche bin samajhe main haan se haan milaata
kya karoon ki mujhe na kehna nahi aata
kisi ka dil bhi dukhaaya na jaata
koyi kahe please aur maange koyi cheez
toh use main taal na paata
kya karoon ki mujhe na kehna nahi aata

kehna chaahu na par kahoon haan, kya musibat hai re bhai
kis tarah se khud ko rok loon, hoga koyi toh upaay
iss dil ki hi sunu, main jo chaahu wahi karuun
aisa tadpaata toh yeh gaana main na gaata
kya karoon ki mujhe na kehna nahi aata
kisi ka dil bhi dukhaaya na jaata
koyi kahe please aur maange koyi cheez
toh use main taal na paata
kya karoon ki mujhe na kehna nahi aata

bas ek kamjori hai, samajho majboori hai
bin soche bin samajhe main haan se haan milaata
kya karoon ki mujhe na kehna nahi aata
kisi ka dil bhi dukhaaya na jaata
koyi kahe please aur maange koyi cheez
toh use main taal na paata
kya karoon ki mujhe na kehna nahi aata
kisi ka dil bhi dukhaaya na jaata
ki mujhe na kehna nahi aata
na na na na na na na……. (na kehna nahi aata)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *