Lyrics of song

Maazandaraan Mazandaaran

maazandaraan! maazandaraan! – 2
mere vatan! mere jahaan! ai gulsitaan! jannat-nishaan!

har phool teraa ik chaman,
har shaaKh hai naazuk dulhan
ai jaaneman, ai jaaneman
sadqe tere..
sadqe tere ye jism-o-jaan
maazandaraan! maazandaraan!

zarre hain tere yaa guhar,
paDti hai shaahoN ki nazar
laal-o-jawaahir is qadar,
mumkin nahin..
mumkin nahin jinkaa bayaan
maazandaraan! maazandaraan!

ik husn ki mahfil hai tu,
har shauq ki manzil hai tu
ham aashiqoN kaa dil hai tu,
har lab pe teri daastaan
maazandaraan! maazandaraan!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *