Lyrics of song

Main Dil Mein

main dil mein, main dil mein
dard basa laayi
nainon se nain mila aayi
unko apne man ki baatein
bina kahe samjha aayi
main dil mein …

pyar se koi dekh raha tha
main sehmi ghabraai
dhalki mori dhaani chunariya
li main ne angdaai
bin dekhe sharmaai
main man kaa, main man ka chain luta aayi
nainon se nain mila aayi
main dil mein …

dil se uthi lehar khushi ki
ang ang lehrayi
kali mere zuban ki chatki
phool bani muskaayi
main jeevan, main jeevan geet suna aayi
nainon se nain mila aai
main dil mein …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *