Lyrics of song

Main Man Ki Baat Bataauun

man ki baat bataauun
main man ki baat bataauun
kyaa-kya baat uthat man more – 2
sab kah kar samajhaauun
main man ki baat bataauun

phuul banuun – 2
phuulan ang mahakuun bansi banakar gaauun
param punit prabhaat banuun main jaaguun aur jagaauun
nipat suhaani dhuup banuun main jaaguun aur jagaauun
main man ki baat bataauun

jaag banuun aakaash sajaauun taare roz jalaauun
lahar banuun pal pal laharaauun baadal ban jag chhaauun – 2
tuu baadal ka ruup bane main chaatak ruup dhar aauun – 2
suukha pyaasa khet banuun main – 2 pal pal tujhe bulaauun
main man ki baat bataauun – 2

mitha git banuun jharane ka nit nit sunat suhaauun – 2
aasha ka sapana banakar – 2 man tuute jod dikhaauun
main man ki baat bataauun – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *