Lyrics of song

Man Saunp Diya Anjaane Mein

man saunp diya anjaane mein -3
anjaane mein, anjaane mein – 2

nainon ne daras ras kiya paan
kar diya palak mein hriday daan – 2
ek jhalak mein baandhe nainon se praan – 2
kitana sukh hai bandh jaane mein – 2
man saunp diya

aankhon ko kya ho gaya aaj
hai path mein ataki bina kaaj – 2
pag pag par inako baraje laaj – 2
ye aati nahin bahalaane mein – 2
man saunp diya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *