Lyrics of song

Mera Karma Tu Mera Dharma Tu

mera karma tu mera dharma tu
tera sab kuch main mera sab kuch tu

har karam apna karenge  -2
aye vatan tere liye
dil diya hai jaan bhi denge aye vatan tere liye

tu mera karma tu mera dharma tu mera abhimaan hai
aye vatan mehaboob mere tujhpe dil qurbaan hai
ham jiyenge ya marenge aye vatan tere liye
dil diya hain jaan bhi denge …

hindu muslim sikh eesaai hamvatan hamnaam hain
jo kare inko juda mazhab nahi iljaam hai
ham jiyenge ya marenge …

teri galiyon mein chalaakar nafaraton ki goliyaa
lootate hain sab lutere dulhanon ki doliyaan
lut raha hai aanp vo apne gharon ko loot kar
khelte hain bekhabar apne lahu se holiyaan
ham jiyenge ya marenge …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *