Lyrics of song

Mera Mann

Aa…aa…aa…aa…aaha…
Ho… oh… aa…aa…
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se – 2
Chain kahin, aaye na, dard saha jaaye na
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin, aaye na, dard saha jaaye na

Kaisi, pagli pawan hai, mere aanchal ko choomti
Ho, mere, tan se lipatke, mere khushboo mein jhoomti
Jaa re jaa, besharam, yun mujhe rokna
Chhod de, raasta yun mujhe tokna
Chali main banke ghata, neer bhari
Log kahen mujhe kajri
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na

Main toh, sur se saji hoon, meri saanson mein sargam
Ho, saari, dhun mein baji hoon, main hoon taanon mein har dam
Jaaduwi saaz hoon, ansuna geet hoon
Husn ka raag hoon, pyaar ki reet hoon
Mujhe adhron pe saja, dil mein basa
Geet mera har pal ka
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na

Main hoon, teri pujaaran tu hai sapnon ka devta
Tujhko, chaahoon main har pal, ye nahin hai tujhko pata
Kaunsi, ye zameen, kaunsa aasmaan
Phool hi phool hai dekhti hoon jahaan
Udi main leke hawa dekh zara
Jag saara mahek uthha
Mera mann, mera mann tujhko bulaaye pyaar se
Chain kahin aaye na, dard saha jaaye na
Mera mann, mera mann
Oh mera mann, mera mann
Mera mann, mera mann
Ho mera mann, mera mann

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *