Lyrics of song

Mere Bachpan Ke Saathi

(Mere bachpan ke saathi mujhe bhool na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana) -2

Gham furqat ke sahna sakoongi, sahna sakoongi
Roungi kuchh kahna sakoongi
Dushman hai saara jahaan, dushman hai saara jahaan jaaoon kahaan
Aah, teri ulfat hai jeene ka bas ik bahaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana

Raat guzaaroon gin gin taare, gin gin taare
Kaise aaoon paas tumhaare
Tum ho kahin main kahin, tum ho kahin main kahin chain nahin
Haa, haaye duniya ne dil ka mere gham na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana

Koi dil ka dard na jaane, dard na jaane
Apne bhi ab hai beghaane
Ro ro ke kehta hai dil, ro ro ke kehta hai dil aa saajan mil
Aah, bas itna hi sun le mera hai fasaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana
Mere bachpan ke saathi mujhe bhool na jaana
Dekho dekho hanse na zamaana, hanse na zamaana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *