Lyrics of song

Mere Dil Ne Jo Maanga

(mere dil ne jo manga mil gaya)-2
maine jo kuchh bhi chaha mil gaya
(ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa)-2
mere dil ne jo manga mil gaya
maine jo kuchh bhi chaha mil gaya
ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa

(muuh chupakar gaya hai andhera, mere jeevan ka aaya sawera)-2
(aaj kadamon mein jhukane laga aasamaa)-2
ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa
mere dil ne jo manga mil gaya, maine jo kuch bhi chaha mil gaya
ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa

dheere dheere mere sapane ek naya rang aankho mein laaye
meethe meethe koi nagamein dil ki veeraan vaadi mein gaaye
(dekhte dekhte kaisa badala sama)-2
ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa
mere dil ne jo manga mil gaya, maine jo kuchh bhi chaha mil gaya
ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa

(ye naya mod hai zindagi ka chha raha hai nasha bekhudi ka)-2
(ab to phoolon mein hoga mera aashiyaan)-2
ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa
mere dil ne jo manga mil gaya, maine jo kuchh bhi chaha mil gaya
ho gayi pyaar ki har tamanna tamanna jawaa

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *