Lyrics of song

Mere Man Mein

mere man mein uthe umang balam
ban ke main
ban ke main tarang sama jaaoon, sama jaaoon
tere dil mein sama jaaoon

mere pyaare piya kya tum ne kiya
mera pahali nazar mein dil chheen liya
main aaj jhoom jhoom jaaoon, balam
ban ke main
ban ke main tarang sama jaaoon, sama jaaoon
tere dil mein sama jaaoon
mere man mein uthe …

gaate hue saavan mein rim jhim ki boliyaan
nainon se bhar lo ji nainon ki jholiyaan
a ja piyaa, a ja piya
a ja chhu le mujhe
jo tu chhu le mujhe
main teri ho jaaoon balam
ban ke main
ban ke main tarang sama jaaoon, sama jaaoon
tere dil mein sama jaaoon
mere man mein uthe …

ud jaaoon piya tera le ke jiya
main ne baadal ko aanchal mein baandh liya
main aaj phooli na samaaoon
ban ke main
ban ke main tarang sama jaaoon, sama jaaoon
tere dil mein sama jaaoon
mere man mein uthe …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *