Lyrics of song

Na Ghar Ke Na Ghaat Ke

Aa gaye Mumbay ke sagar mein gaon ki naiya
Par iss root ki sabi lineay viyast hai bhaiya
Aa gaye Mumbay ke sagar mein gaon ki naiya
Par iss root ki sabi lineay viyast hai bhaiya
Mehnga padh gaya sapne bun na, mehnga padh gaya sapne bun na
Na ghar ke na ghaat ke munna – 3 times

.. vasudeva .. mumbai deva vasudeva ..

Badli hai aap hawa, badal gaye hain nazare
Ye signal ye local, dost hai naye tumhare
Naa zyada sun na, naa zyada boli na
Paane mein hawa bhi kum le saans bhi pyare
Mehnga padh gaya sapne bun na, mehnga padh gaya sapne bun na
Na ghar ke na ghaat ke munna – 2 times

Apna woh hota nahin jo apna lagta hai
Wrong hai right, jaib hai tight, lekin sab chalta hai
Rasta hai seedha jo tu tedha chale
Yahan to matlab se suraj aur chaand nikalta hai
Mehnga padh gaya sapne bun na, mehnga padh gaya sapne bun na
Na ghar ke na ghaat ke munna – 2 times

Kaale kaale coat, hare hare note
Taxi’ian kaali peeli
Technicolor hai ye sehar, baate iski rangeeli
Lekin khushiyon ka color hai kaun sa
Tu pehchane ye to bas zindagi jee lee
Mehnga padh gaya sapne bun na, mehnga padh gaya sapne bun na
Na ghar ke na ghaat ke munna – 2 times

Aa gaye Mumbay ke sagar mein gaon ki naiya
Par iss root ki sabi lineay viyast hai bhaiya
Mehnga padh gaya sapne bun na, mehnga padh gaya sapne bun na
Na ghar ke na ghaat ke munna – 4 times

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *