Lyrics of song

Pardesi Kyun Yaad Aata Hai

pardesi kyun yaad aata hai,
pardesi kyun yaad aata hai………….

ek chaand chamak kar jangal mein
chhup chhup oonghe baadal mein
jab sapana sa dikhalaata hai
pardesi kyun yaad aata hai………….

purab se pawan jab aati hai
jab koyal kuk sunaati hai
jab baadal ghir ke aata hai
pardesi kyun yaad aata hai………….

hriday ki ghaneri chhaaon ka
aramanon kaa, aashaaon kaa
jab ghoonghat pat khul jaata hai
pardesi kyun yaad aata hai………….

jab beetein din yaad aate hai
baadal ki tarha mandalaate hai
jab ghaayal dil ghabaraata hai
pardesi kyun yaad aata hai………….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *