Phool Yeh Angaar Ban Gaya
phool ye angaar ban gaya – 4
ye haalaat se ek shabanam ka katra – 2, aag ki bouchhar ban gaya
phool ye angaar ban gaya – 4
hai kanoon andha adalat hai behari hai jhooti yahaan har gawaahi
ke jisane sharaafat dikhaayi usiki sharaafat pe tohamat hai aayi
kitaabo kalam ilm ka haath dekho – 2, kaise talwaar ban gaya
phool ye angaar ban gaya – 4
chita jal rahi hain behan ki abhi tak mere dil ki geharaayiyon mein
o meri behan hai tera khoon shaamil mere gum ki chingaariyon mein
tere har gunehgaar ke waaste main – 2, khoon ki kataar ban gaya
phool ye angaar ban gaya – 4