Lyrics of song

Piya Main Toh Hui

piya main toh hui baanwri – 2
aankhiyaan tori hain jaadubhari
piya main toh hui baanwri – 2

main toh hui re baanwri hui re – 2
more naram karejwa mein chubh gayi sui re
haai hui re baanwri hui re
bhaai mann ko surat teri saawri re saawri
main toh hui baanwri baanwri baanwri baanwri
piya main toh hui baanwri – 2

(dil ki lagi mori jaane na tumne
tadpe re mora jiya) – 2
(laaj ki maari main kutch na boli
aankhon ne sab keh diya) – 2
teri bholi adaa pe piya main mari re main mari
main toh hui baanwri baanwri baanwri baanwri
piya main toh hui baanwri – 2

rutt aayi re pyar ki aayi re – 2
chahu or jawani chhayi re chhayi re
rutt aayi re pyar ki aayi re
more mann mein bahe hai mithhi baansuri re baansuri
main toh hui baanwri baanwri baanwri baanwri
piya main toh hui baanwri – 2
aankhiyaan tori hain jaadubhari
piya main toh hui baanwri – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *