Raakhi Dhaagon Ka Tyauhaar
raakhi dhaagon ka tyauhaar -2
bandha hua ik-ik dhaage mein bhaayee-bahan ka pyaar
raakhi dhaagon ka …
kitna komal kitna sundar bhai-behan ka naata
is naate ko yaad dilaane ye tyauhaar hain aata
behan ke man ki aashaayen raakhi ke ye taar
raakhi dhaagon ka …
behan kahe mere veer tujhe na buri najariya laage
mere raaja bhaiyya tujhko meri umariya laage
dhan hu paraaya phir bhi milungi saal mein to ik baar
raakhi dhaagon ka …
bhai kahe o behan main teri laaj ka hu rakhwala
gunthunga main pyaar se tere armaanon ki maala
bhaai-bahan ka pyaar rahega jab tak hain sansaar
raakhi dhaagon ka …