Lyrics of song

Raakhi Ka Aaya Tyohaar

raakhi ka aaya tyohaar sakhi raakhi ka aaya tyohaar
more bhaiyya jiyen jalen ghar mein diye main usi ke liye
baandhu raakhi mein aasha ke taar
sakhi raakhi ka aaya tyohaar …

uthe man mein umang jaise saagar mein tarang
jaise bagiya mein aayi bahaar
sakhi raakhi ka aaya tyohaar …

dekhi duniya ki reet bahan bhai ki preet gaao khushi ke geet
more baabul ke ghar ka singhaar sakhi
sakhi raakhi ka aaya tyohaar …

yu baandhane ko baandho koi hazaar dhaage
lekin hazaar par hain raakhi ke chaar dhaage
chaar dhaagon mein bandha hai pyaar
sakhi raakhi ka aaya tyohaar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *