Lyrics of song

Raat Andhiyaari Hai

Raat Andhiyaari Hai
raat andhiyaari hai, maat dukhiyaari hai
sukh se tuu so mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar
raat andhiyaari hai

taare hain gagan mein, aansuu hain nayan mein
ab naa samaaye meri pir, mere man mein
dharati bhi roye aur roye aasamaan
mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar
raat andhiyaari hai

sisak rahaa hai praan, vinaa kaa taar taar
jahaan bhi nayan jaaye andhakaar andhakaar – 2
aansuuon ke motiyon ki tuu hai musakaan
mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar
raat andhiyaari hai

jahaan bhi tuu rahe, mere aansuuon ki dhaar rahe 
balihaari jaauun maan, meraa man praan kahe
mere pyaare devataa kaa tuu hai varadaan
mere praan, mere maan, meri rain ke vihaar
raat andhiyaari hai, maat dukhiyaari hai
raat andhiyaari hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *