Lyrics of song

Ram Jaane

kehte hai log mujhe ram jaane
kaise pada yeh mera naam jaane – 2
ram jaane, ram jaane, ram jaane, ram jaane
o ram jaane yeh toh bata
tere iss?? dil ka raaja bana
paise ka kaise gulaam jaane
ram jaane, ram jaane, ram jaane, ram jaane

yaaro maja lene do jarasa
barso raha hoon main bhuka pyaasa
woh ik haqiqat hai, wo deewaane
samajha hai tune jisako tamaasha
(mat chhed mujhko, aa hosh mein
paagal jawaani ke josh mein) – 2
tu pi gaya kitne jaam jaane
ram jaane, ram jaane, ram jaane, ram jaane

jo jhut sach ko pehchaanata hai
duniya mein jeena wo jaanata hai
hum kya kare hum tujhse alag hai
hum maut ko jindagi maanata hai
(marana hai ik din sabko magar
o bekhabar tujhko kya khabar) – 2
kya hai tera anjaam jaane
ram jaane, ram jaane, ram jaane, ram jaane

kaise tera tuta dil jod du main
dil chaahe sabka dil tod du main
nafrat na kar, khud se pyaar kar tu
tu haan kahe toh yeh jid chhod du main
(yeh toh naseebo ka kaam hai
har dil pe likha ek naam hai) – 2
kispe likha kisaka naam jaane
ram jaane, ram jaane, ram jaane, ram jaane

kehte hai log mujhe ram jaane
kaise pada yeh mera naam jaane – 2
ram jaane, ram jaane, ram jaane, ram jaane
o ram jaane yeh toh bata
tere iss?? dil ka raaja bana
paise ka kaise gulaam jaane
ram jaane, ram jaane, ram jaane, ram jaane

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *