Lyrics of song

Ramchandra Keh Gaye

raamchandra keh gaye siyaase aaisa kaljuga aayega
bhaiyaa, aaj to ham tumhe ek naye jamaaneki katha sunaayenge
are baaba kisibhi jamaaneki sunaao par sunaao zaroor
siyaavar raamchandraki jaya

he raamachandra keh gaye siyaase aaisa kaljuga aayega
hansa chugega daana dunka kauvva moti khaayega

siyaane puchhaa,
kalajugamein dharam karamko koi nahi maanegaa?
to prabhu bole:

dharam bhi hoga, karam bhi hoga
parantu sharam nahi hogi
baata baata par maata pitaako
ladka aankh dikhaayega
raaja aur praja dono inmein
hogi nisadin kheenchaataani
kadam kadam par karenge
dono apni apni mann maani
jiske haath mein hogi laathi
bhainsa vahi le jaayega
suno siya kaljugmein kaala dhan aur kaale mann honge
chora uchakke nagar setha aur prabhu bhakta nirdhan honge
jo hoga lobhi aur bhogi vo jogi kehlaayega
mandir soona soona hoga bhari rahengi madhushaala
pitaake sang sang bhari sabhaamein naachegi gharki baala
kaisa kanyaadaan bidaahi kanyaaka dhan khaayega

moorakh ki preet buri jueki jeeta buri
bure sang baitha baitha bhaage hi bhaage
kaajal ki kothari mein kaise hi jatana karo
kaajal ka daag bhaai laage hi laage
kitna jati ho koi kitna sati ho koi
kaamani ke sang kaam jaage hi jaage
suno kahe gopeeraama jiska hai raamadhaama
uska to phanda gale laage hi laage

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *