Lyrics of song

Re Mere Maula

Aana .. aana ..
Mashware aur hidayatein nazar ye kya karoon
Mashware aur hidayatein nazar ye kya karoon
Meri aankhon se bhi dhikta hai, nazara kya karoon
Re mere maula – x[4]
Maula .. maula ..
Hai ye galat, aur ye hai sahi sab kahe
Aisa kal hai yehi bandagi
Mere dil mein bhi tu hi chipa hai kahin
Ab to tu hi btaa, kya hai farmaan ji
Ab tera hi mujhko hai sahara kya karoon
Re mere maula, re mere maula
Maula .. maula ..

Sabke chaaro taraf ek deewar kyun
Khud ki bhi nazaron mein hum gunegaar kyun
Aadmi in dino thoda bemaar kyun
Ik aman ke liye, itni takraar kyun
Badi umeedon se tujhko hai pukara kya karoon
Re mere maula, re mere maula

Mashware aur hidayatein nazar ye kya karoon
Mashware aur hidayatein nazar ye kya karoon
Meri aankhon se bhi dhikta hai, nazara kya karoon
Re mere maula – x[6]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *