Lyrics of song

Rehna toh hai (Male)

Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin -2
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin

Rehna toh hai tere hi sang, rehna magar mumkin nahin

Kyun ho gaye, ye faasle, kaise mitti nazdeekiyaan
Pichhe mere, chalti rahi, kyun bewafa parchhaaiyaan
Baahon ke ghere, sapne ghanere, hai ab paraaye woh sparsh tere
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin

Tune mujhe, dhokha diya, kehna sakoon, aisa kiya
Bikhre sabhi, sapne mere, kis bhool ka, badla liya
Tootegi mere, ashqon ki ladiyaan
Tadpegi tu bhi, gin-gin ke ghadiyaan
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin
Ye tishnagi dil ki mere, kaise karun main bayaan
Rehna toh hai, tere hi sang, rehna magar, mumkin nahin -2
Mumkin nahin -3

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *