Lyrics of song

Ritu Aaye Ritu Jaaye Sakhi Ri

gaud sarang
ritu aaye ritu jaaye sakhi ri
man ke mit na aaye
jeth mahina jiya ghabaraaye
pal pal suuraj aag lagaaye
duuje biraha agan lagaaye
karuun main kaun upaay
ritu aaye ritu jaaye sakhi ri

gaud malhar
barakha ritu bairi hamaar
jaise saas nanadiya
pi darasan ko jiyara tarase
ankhiyan se nit saavan barase
rovat hai kajara nainan ka
bindiya more ???
barakha ritu bairi hamaar

jogiya
pi bin suuna ji
patajhad jaisa jivan mera
man bin tan jyuun jal bin nadiya
jyon main suuni bina saanvariya
auron ki to rain andheri
par hai mera din bhi andhera
pi bin suuna ji

bahar
aayi madhur ritu basant bahaar ri
phuul phuul par bhramar guunjat
sakhi aaye nahin bhanvar hamaar ri
aayi madhur ritu basant bahaar ri
kab lag nainan dvaar sajaayuun
dip jalaayuun dip bujhaayuun
kab lag karuun singaar re
aayi madhur ritu basant bahaar ri
aayi madhur ritu basant bahaar ri, bahaar ri, bahaar ri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *