Lyrics of song
Rut Rangili Hai Suhaani Raat Hai
rut rangili hai suhaani raat hai
tum chale aao, to phir kyaa baat hai
kyaa baat hai
rut rangili hai
ye jawaani ki sunehri toliyaan
pyaari pyaari chaal mithi boliyaan
pyaar mein dubi hui har baat hai
kyaa baat hai
rut rangili hai
aasamaan hai yaa sitaaron ki ladi
motiyon se raat ki chunari jadi
chaandani ki har taraf barasaat hai
kyaa baat hai
rut rangili hai
tu nahin to zindagi kuchh bhi nahin
ye hawaa ye chaandni kuchh bhi nahin
lab pe teraa naaktmpm dil par haath hai
kyaa baat hai
rut rangili hai