Lyrics of song

Saajan Yeh Mat Jaaniyo

a : saajan ye mat jaaniyo
piya kaise milu tumse mere paanv padi zanjeer
hriday mein agni sulage nainan se barsen neer
mere paanv padi zanjeer
ra : duniya se hai kya shikwa meri rooth gayi taqdeer
laakh jatan kar haar gaya soojhe na koi tadbeer
meri rooth gayi taqdeer
la : piya kaise milu …
ra : duniya se hai kya …

la : kaise door karu ye doori samajh nahi main paati ji  -2
jo main hoti ban ki chidiya pankh laga ud aati
udane lagi thi ud na saki qismat ne mara teer
piya kaise milu …
ra : duniya se hai kya …

ra : phool mile kam kaante zyada beej ye kaisa boya ji o
la : maalik tere jag mein jisne pyaar kiya vo roya
aansu ke rangon mein rang daali pyaar ki ye tasveer
la : piya kaise milu …
ra : duniya se hai kya …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *