Lyrics of song

Saanson Ka Chalna

saanson ka chalna dil ka machalna – 2
jiski badaulat hain teri mohabbat hain o o teri mohabbat hain
khwaabon mein aana aake sataana – 2
jiski sharaarat hain teri mohabbat hain o o teri mohabbat hain
saanson ka chalna dil ka machalna – 2
jiski badaulat hain teri mohabbat hain teri mohabbat hain

(tere jaisa nahi koi nahi koi meri jaan-e-wafa
tera hasna tera chalna nahi dekhi maine aaisi adaa) – 2
ye khushbu ye aankhen ye chehara tu lagti hai kamseen pari
main hota agar koi shaayar to karta koi shaayari
kesu giraana daaman mein aana – 2
kiski inaayat hain teri mohabbat hain o o teri mohabbat hain
khwaabon mein aana aake sataana – 2
jiski sharaarat hain teri mohabbat hain o o teri mohabbat hain

na na na jaalima na na na na na na
tere charche teri yaaden teri baahon mein khoyi rahi
tera jalwa nazar mein tha main to jaagi ya soyi rahi
meri dhadkano pe likhi hain kahaani teri jaaneja
main hone lagi dheere dheere deewaani teri jaaneja
is zindagi ko deewaanagi ko – 2
kiski jarurat hain teri mohabbat hain o o teri mohabbat hain
saanson ka chalna dil ka machalna – 2
jiski badaulat hain teri mohabbat hain o o teri mohabbat hain
khwaabon mein aana aake sataana
saanson ka chalna dil ka machalna
khwaabon mein aana aake sataana
jisaki badolat hain teri mohabbat hain o o teri mohabbat hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *