Lyrics of song

Saat Samundar Paar Ke

saat samundar paar ke
gudiyo ke baazaar se
achhi si gudiya laana
gudiya chaahe na laana
pappa jaldi aa jaana

tum pardes gaye jab se
bas ye haal hua tab se
dil deewana lagta hai
ghar veerana lagta hai
jhilmil chaand sitaaron ne
darawazon deewaron ne
sabne poochha hai ham se
kab ji chhootega gam se
kab ji chhootega gam se
kab hoga unka aanaa, pappa 

maa bhi lori nahi gaati
ham ko neend nahi aati
khel khilaune toot gaye
sangi saathi chhoot gaye
jeb hamaari khaali hai
aur baasi deewali hai
ham sabko na tadpaao
apne ghar wapas aao
apne ghar wapas aao
aur kabhi phir na jana, pappa 

khat na samjho taar hai ye
kaagaz nahi hai pyar hai ye
doori aur itni doori
aaisi bhi kya majaboori
tum koi naadaan nahi
tum isse anjaan nahi
is jeevan ke sapne ho
ek tumhi to apane ho
ek tumhi to apane ho
saara jag hai begana, pappa

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *