Lyrics of song
Saathi Re Bhuul Na Jaana Mera Pyaar
saathi re bhuul na jaana mera pyaar – 2
meri vafa ka ai mere hamadam kar le na aitabaar
saathi re
(duur kabhi kar de jo majabuuri
vah duuri to hogi nazar ki duuri) – 2
teri duaayein gar saath rahin
aayegi phir se bahaar
saathi re
(kaash kabhi ye raina na bite
prit ka ye paimaana kabhi na rite) – 2
dar hai kahin aane vaali sahar
le le na dil ka qaraar
saathi re