Lyrics of song

Saavan Ke Din Aaye Sajanava Aan Milo

saavan ke din aaye, sajanava aan milo
barakha jiya tarasaaye, sajanava aan milo
duuri sahi na jaaye sajaniya
yaad tumhaari aaye sajaniyaa, aan milo, aan milo
biraha jiya tadapaaye
sajanava aan milo
sajaniya aan milo
aan milo

jaise ghata mein bijuri chamake
tir uthe man mein tham-thamake
tir uthe man mein tham-thamake
kaise koi dhir bandhaaye, dhir bandhaaye
biraha jiya tadapaaye, sajanava aan milo
yaad tumhaari aaye, sajaniya aan milo
aan milo

aag lagi hai thandi pavan mein
chhaaya dhuaan sa hai ankhiyan mein
chhaaya dhuaan sa hai ankhiyan mein
jale koi tum bin haay, tum bin haay
biraha jiya tadapaaye, sajaniya aan milo
duuri sahi na jaaye sajanava
yaad tumhaari aaye sajaniyaa, aan milo
aan milo
saavan ke din aaye
sajanava aan milo
sajaniya aan milo
aan milo
aan milo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *