Lyrics of song

Sach bolta hoon main

Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Ye cheez lajwaab hai, ye cheez lajwaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyoon main jaam to hota nahin nasha

Mera alag hisaab hai, mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Hun hun hun hun….
Saqi yakeen na aaye to, gardan jhuka ke dekh

Sheeshe mein maahtaab hai, sheeshe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Haathon mein ek jaam hai, honthon pe ek ghazal

Baaki khayal-o-khwab hai, baaki khayal-o-khwab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *