Lyrics of song

Sar Se Sarke Sarke Chunariya

(sar se sarke sarke chunariya
laaj bhari ankhiyon mein
ho maiyya gaaye sajan kehna hoke magan
gaake sakhiyon mein) – 2
nainon mein neendiya
neendiya mein sapane
sapanon mein saajan
jab se basa hai
bahaaren aayi jeevan mein
nayi hulchul hai tanman mein
ek roop basa hai ankhiyon mein ho ho
sar se sarke sarke chunariya
laaj bhari ankhiyon mein

kuchh lamhe jeevan ke churale
saanson ki yeh aag bujha le
duniya se duur kahi duniya basa le
jab se mili hai tujhse nigaahen
jaadu yeh kaisa mujh pe hua
ke dil jab tanha lagta hai
mujhe kuchh aaisa lagta hai
tu jhaank raha hai ankhiyon mein
sar se sarke sarke chunariya
laaj bhari ankhiyon mein

aaj ka har ek pal sundar hain
kal kya ho kisko yeh khabar hai
lamba safar zindagi mukhtasar hai
darr lag raha hai kya jaane kya ho
dil tujhko maine jabse diya
udi hai neende aankhon se
teri aaisi hi baaton se
badnaam hui hu sakhiyon mein
sar se sarke sarke chunariya
laaj bhari ankhiyon mein
ho maiyya gaaye sajan kehna hoke magan
gaake sakhiyon mein
nainon mein neendiya
neendiya mein sapane
sapanon mein saajan
jab se basa hai
bahaaren aayi jeevan mein
nayi hulchul hai tanman mein
ek roop basa hai ankhiyon mein ho ho
sar se sarke sarke chunariya
laaj bhari ankhiyon mein

taaron se yeh maang sajadu
hothon pe ek phool khiladu
tere liye saari duniya bhula du
mehkega sara gulshan humara
dil ka sahara baahen teri hogi
khushi se hari bhari hogi
yeh duniya teri meri hogi
(sar se sarke sarke chunariya
laaj bhari ankhiyon mein
ho maiyya gaaye sajan kehna hoke magan
gaake sakhiyon mein) – 2

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *