Lyrics of song

Seene mein sulagte hain armaan

Seene mein sulagte hain armaan
Aankho mein udaasi chhaayi hai
Ye aaj teri duniya se hamein
Taqdeer kaha le aayi hai
Seene mein sulagte hain armaan
         
Kuchh aankh mein aansoo baaki hain
Jo mere gham ke saathi hain – 2
Ab dil hain na dil ke armaan hain – 2
Bas main hu meri tanhaai hai
Seene mein sulagte hain armaan
        
Na tujhse gila koyi hamko
Na koyi shikaayat duniya se
Do chaar qadam jab manzil thi – 2
Qismat ne thhokar khaayi hai
Seene mein sulagte hain armaan
       
Kuchh aisi aag lagi man mein
Jeene bhi na de marne bhi na de …
Chup hu to kaleja jalta hai – 2
Bolu to teri ruswaayi hai

Seene mein sulagte hain armaan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *