Lyrics of song
Shauq Se Aayein Gam Zamaane Ke
shauq se aayein gam zamaane ke
dar khule hain garibakaane ke
ye muhabbat ye dosti ye wafa
sab wasile hain dil dukhaane ke
kya sune koyi daastaan-e-hayaat
laakh unawaan hain ik fasaane ke
ik kazaana hai zindagi ‘ faaqir’
ashq moti hain is kazaane ke