Lyrics of song

Shehar Ki Pariyon

Ta ra ri ta re ra
Ta ra ri ta re ra

Shehar ki pariyon ke peechhe jo hain deewane
Shehar ki pariyon ke peechhe jo hain deewane
Vo hamari saadgi ka rang kya jaane
Arre haan aa ha dildaar bewafa

Jo nahin samjhe ki hum kiske hain deewane
Vo hamari aashiqui ka rang kya jaane
Arre haan aa ha samjho na meri jaan

Koi hoga haseen kam to hum bhi nahin
Dekho zara nazar bhar ke
Itna udo nahin hoi na aisa kahin
Na idhar ke raho ho na udhar ke
Koi hoga haseen kam to hum bhi nahin
Dekho zara nazar bhar ke
Itna udo nahin hoi na aisa kahin
Na idhar ke raho ho na udhar ke

Shehar ki pariyon ke peechhe jo hain deewane
Vo hamari saadgi ka rang kya jaane
Arre haan aa ha dildaar bewafa

Aa ja
na na
Aa ja meri baahon mein tu jaana nahin re
na na
Aa ja meri baahon mein tu jaana nahin re
na na

Yahan to bade bade lut gaye khade khade
Bachke vo bhi kahan jayenge
Sunke meri sada chhodke naaz-o-ada
Kachche dhaage mein bandhe aayenge
Yahan to bade bade lut gaye khade khade
Bachke vo bhi kahan jayenge
Sunke meri sada chhodke naaz-o-ada
Kachche dhaage mein bandhe aayenge

Jo nahin samjhe ki hum kiske hain deewane
Vo hamari aashiqui ka rang kya jaane
Arre haan aa ha samjho na meri jaan

Shehar ki pariyon ke peechhe jo hain deewane
Vo hamari saadgi ka rang kya jaane
Arre haan aa ha dildaar bewafa
Samjho na meri jaan
Dildaar bewafa
Samjho na meri jaan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *