Lyrics of song
Shola Tha Jal Bujha Huun Hawaayein Mujhe Na Do
shola tha jal bujha huun hawaayein mujhe na do
main kab ka ja chuka huun sadaayein mujhe na do
jo zahar pi chuka huun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaayein mujhe na do
aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakuun
har baar duur ja ke sadaayein mujhe na do
kab mujhako aitaraaf-e-muhabbat na tha ‘ faraaz’
kab mainne ye kaha tha sazaayein mujhe na do